Wednesday, 27 February 2008

Is kadar gum ne hame loota hai

Is kadar gum ne hume loota hai,
ki ansoo ne bhi saath choda hai,
Itni zalim hai ye duniya,
Jise dil me basaya,
Usi ne dil toda hai

Udaas na hona

Udaas na hona kyonki mai saath hu,
Saamne na sahi, par aas paas hu,
Palkon ko band karna,
Mai tumhara ek ehsaas hu.

Milte hai acche dost..

Milte hai acche dost,
Sirf khushnaseebo ko,
Meri kismat se jalna chhod do,
Agar tamanna hai milne ki,
Mere dost se,
to bas apni nazar,
Aaine ki taraf mod do,

Ankho se sahi

Ankho se sahi,
Kya dil se nikal paoge,
Meri Zindagi me na sahi,
Mere khwabo me to aaoge

Monday, 11 February 2008

Nazar hamari, Nazarr tumhari

Nazar hmari, nazar tumhari,
Nazar ne dil ki nazar utari,
Nazar ne dekha nazar ko aise,
Nazar na lage dosti ko hamari.

Dost hai to...

Dost hai to ansu ki bhi shaan hoti hai,
Dost na ho to mahfil bhi shamshaan hoti hai,
Khel to dosti ka hai warna,
Zanaja aur baraat,
Ek samaan hoti hai,

Aap chand ki tarah....

Aap chand ki tarh asmaan me chamakte rahe,
Hum raat bhar aapki chamak me chamakte rahe,
Jaante the na paa sakenge kabhi aapko,
Phir bhi dua me aapko hi maangte rahe.

Ishq ne insaan ko...

Ishq ne insaan ko kya se kya bana diya,
Kisi ko paagal to kisi ko deewana bana diya,
Do phool ka wajan nahi utha paati thi Mumtaaz,
Shahjahan ne us par Taaz Mahal bana diya,

Kuch kahte hai dosti hai pyar,

Kuch kahte hai dosti hai pyar,
Kuch kahte hai dosti hai zindagi,
Hum kahte hai dosti hai dosti,
Jisse badhkar na pyar hai na zindagi.

dard kaafi hai

Dard kaafi hai bejhudi ke liye,
Maut zaroori hai zindagi ke liye,
Kaun marta hai kisi ke liye,
Hum to zinda hai aapki
Dosti ke liye.

Waqt gujarta raha

Waqt gujarta raha par saanse thami si thi,
Muskura rahe the hum, par aankho me nami si thi,
Saath hamare ye zamana tha saara,
Par na jaane kyun aapki kami si hi.

Palko me qaid ek sapna hai

Palko me qaid ek sapna hai,
Kuch begaane kuch apne hai,
Na jaane kya kashish hai,
In khayaalo me, Hum tum,
Door hote hue bhi kitne apne hai.

Paas akar sabhi....

Paas akar sabhi door chale jaate hai,
Hum akele the, akele hi rah jaate hai,
Dil ka dard kise dikhayen,
Marham lagane wale hi,
Jab zakhm de jaate hai.

Popular Posts