Thursday, 28 February 2008

Roothne ka hak aap rakhte hai

Roothne ka hak aap rakhte hai,
Manane ki chahat hum rakhte hai,
Aapke hotho ki muskurahat yun hi bani rah,
Yahi dua hum roz karte hai.

Subah nahi, Shaam nahi,

Subah nahi, Shaam nahi,
Is dil ko aaraam nahi,
Zuban pe tera naam amar hai,
Aur kisi ka naam nahi.

Dil me tumhari apni kami chhod jayenge

Dil me tumhari apni kami chhod jayenge,
Aankhon me intezaar ki lakir chhod jayenge,
Yaad rakhna mujhe dhoondte firoge,
Zindagi me dost ki kami chhod jayenge.

Dosti karna to dhokha mat dena

Dosti karna to dhokha mat dena,
Dosto ko aansuo ka tohfa mat dena,
Dil roye aapki yaad me,
Ayesa kisi ko mauka mat dena.

Nazro ne har pal aapka saath manga,

Nazro ne har pal aapka saath manga,
Jaise amawas ne har raat chaand maanga,
Rooth gay wo khuda bhi humse,
Jab humne apni dua me, Aapka saath manga.

Jee chahta hai khud ko mita du

Jee chahta hai khud ko mita du,
Teri yaado ko dil se bhula du,
Par wo yadein hi to jeene ka sahara hai,
Bina aapke duniya me,
Kuch bhi nahi hamara hai.

Rishto ki dor kamzor hoti hai,

Rishto ki dor kamzor hoti hai,
Aankho ki baat kuch aur hoti hai,
Khuda ne jab poocha mohabbat kya hai,
Hamari nazar aapki or hoti hai

Zakhm jab mere seene me bhar jayega,

Zakhm jab mere seene me bhar jayega,
Aansoo bhi MOTI ban kar gir jayega,
Ye mat poochna kisne dhoka diya,
Varna aapka chehra hi utar jayega.

Zubaan se naam lete hai

Zubaan se naam lete hai,
Aankho se ansoo chalak jate hai,
Kabhi kiya karte the hazaaro baate,
Aaj ek baat ke liye taras jaate hai.

Ye raat itni tanha kyu hoti hai,

Ye raat itni tanha kyu hoti hai,
Kismat se sabko shikayat kyo hoti hai,
Ye kismat bhi ajeeb khel khelti hai,
Jise na paa sake usi se mohabbat hoti hai.

Kabhi ajnabi se mile the,

Kabhi ajnabi se mile the,
Fir yun hi muilte chale gaye,
Hum to aapko dost banane wale the,
Magar aap to dhadkan bante chale gaye.

Wednesday, 27 February 2008

Shaam dhali, fir kaali raat aayi

Shaam dhali, fir kaali raat aayi,
Dil dhadka fir tumhari yaad aayi,
Aankho ne mahsoos kiya us hawa ko,
Jo tumhe chookar mere paas aayi.

Is kadar gum ne hame loota hai

Is kadar gum ne hume loota hai,
ki ansoo ne bhi saath choda hai,
Itni zalim hai ye duniya,
Jise dil me basaya,
Usi ne dil toda hai

Udaas na hona

Udaas na hona kyonki mai saath hu,
Saamne na sahi, par aas paas hu,
Palkon ko band karna,
Mai tumhara ek ehsaas hu.

Milte hai acche dost..

Milte hai acche dost,
Sirf khushnaseebo ko,
Meri kismat se jalna chhod do,
Agar tamanna hai milne ki,
Mere dost se,
to bas apni nazar,
Aaine ki taraf mod do,

Ankho se sahi

Ankho se sahi,
Kya dil se nikal paoge,
Meri Zindagi me na sahi,
Mere khwabo me to aaoge

Monday, 11 February 2008

Nazar hamari, Nazarr tumhari

Nazar hmari, nazar tumhari,
Nazar ne dil ki nazar utari,
Nazar ne dekha nazar ko aise,
Nazar na lage dosti ko hamari.

Dost hai to...

Dost hai to ansu ki bhi shaan hoti hai,
Dost na ho to mahfil bhi shamshaan hoti hai,
Khel to dosti ka hai warna,
Zanaja aur baraat,
Ek samaan hoti hai,

Aap chand ki tarah....

Aap chand ki tarh asmaan me chamakte rahe,
Hum raat bhar aapki chamak me chamakte rahe,
Jaante the na paa sakenge kabhi aapko,
Phir bhi dua me aapko hi maangte rahe.

Ishq ne insaan ko...

Ishq ne insaan ko kya se kya bana diya,
Kisi ko paagal to kisi ko deewana bana diya,
Do phool ka wajan nahi utha paati thi Mumtaaz,
Shahjahan ne us par Taaz Mahal bana diya,

Kuch kahte hai dosti hai pyar,

Kuch kahte hai dosti hai pyar,
Kuch kahte hai dosti hai zindagi,
Hum kahte hai dosti hai dosti,
Jisse badhkar na pyar hai na zindagi.

dard kaafi hai

Dard kaafi hai bejhudi ke liye,
Maut zaroori hai zindagi ke liye,
Kaun marta hai kisi ke liye,
Hum to zinda hai aapki
Dosti ke liye.

Waqt gujarta raha

Waqt gujarta raha par saanse thami si thi,
Muskura rahe the hum, par aankho me nami si thi,
Saath hamare ye zamana tha saara,
Par na jaane kyun aapki kami si hi.

Palko me qaid ek sapna hai

Palko me qaid ek sapna hai,
Kuch begaane kuch apne hai,
Na jaane kya kashish hai,
In khayaalo me, Hum tum,
Door hote hue bhi kitne apne hai.

Paas akar sabhi....

Paas akar sabhi door chale jaate hai,
Hum akele the, akele hi rah jaate hai,
Dil ka dard kise dikhayen,
Marham lagane wale hi,
Jab zakhm de jaate hai.

Rishte hote hai...

Rishte hote hai zindagi bitane ke liye,
Hum apni hasti mita denge,
Dosti nibhane ke liye,
Milne ka to naseeb nahi hai,
SMS kiya hai apni yaad,
Dilane ke liye

Dhokha mila jab pyar me

Dhokha mila jab pyar me,
Zindagi me udaasi chhaa gayi,
Socha tah chhor denge is rah ko,
Phir aj mohalle me doosri aa gayi.

Dil ko aadat hai chot khane ki

Dil ko aadat hai chot khane ki,
Bheegi palko ke sang muskurane ki,
Kaash anjaam pehle hi jaan lete,
To koshish bhi na karte dil lagane ki.

Teri doori ka ehsaas

Teri doori ka ehsaas jab satane laga,
Tere saath guzra har lamha yaad aane laga,
Jab se door jaane ki sochi hai,
Ae dost tu dil ke aur kareeb aane laga.

Maut ke baad yaad aa raha hai koi

Maut ke baad yaad aa raha hai koi,
Mitti meri kabra se utha raha hai koi,
Ae khuda do pal ki zindagi aue de de,
Meri kabra se udaas ja raha hai koi.

Kaisa zamaana aa gaya hai

Kaisa zamaana aa gaya hai
Idea waalo ne had kar di,
Bade Bade poster me ek,
Ladki dikhate hai,
Aur likhte hai,
Lage raho raat bhar,
Sirf 10 paise me

Bheeg jaati hai palke tanhai me

Bheeg jaati hai palke tanhai me,
Darte hai koi jaan na le,
Pasand karte hai tez barsaat me chalna,
Kyonki rote hue koi pehchaan na le

No klnowledge without college

No knowledge without college,
No life without wife,
But remember wife is knife,
That cuts your life,
So don't choose,
Your wife in college.
Ek ada apki dil churane ki,
Ek ada apki dil me bas jaane ki,
Chehra apka chand sa,
Aur jid hamari chand ko pane ki

Chupke se chaand ki roshni

Chupke se chaand ki roshni,
Aapki ho jaye,
Dheere se hawa aapko kuch kah jaye,
Dil se jise chaahte ho,
Maang lo use khuda se,
Hum dua karenge, aapko
Har khushi mil jaye

Baagon me phool khilte rahenge

Baagon me phool khilte rahenge,
Raato ko diye jalte rahenge,
Dua hai khuda se, aap
Khush rahe hamesha,
Baki tang to hum,
Aapko karte rahenge

Are o saambha

Gabbar : Are o Saambha
Ye SMS padhne waala insaan hai ki langoor?
Saambha: Agar reply kiya to insaan,
nahi to langoor...
Abhi pata chal jayega

Santa

Amitabh: aapka akhiri sawaal
1 crore ka ...
Aapke baap ka naam kya hai?
Santa hasne laga
Amitabh: Aap has kyo rahe hai?
Santa : Aapne abhi tak option nahi bataya?

Popular Posts